ye waqt

ye sab teri chahaton ka natija hai

dil bikhara sa hai teri yaad mein

main chunati ja rahi wo haalat-e-lamhat

ye waqt mujhe sambhalne ki ijaazat nahi deta

har khawb , har khayal jo tujh se juda

lakh baar lautana chahun ye jazbaton ka samandar

phir tumse milun, umeedon ki leherein uchalti hai

kyun ye waqt mujhe aage chalne nahi deta………………

ek mod par zindagi tere

meri pyari, khubsurat si zindagi

shayad aaj waqt tera hai

maana ke mera mann hara hai

phir se tune patjhad ki raah dikhayi

phir se pairon tale tapti dhoop bhikrayi

khwabon ke aashiyaan mein chal rahi thi main

zatke se aakar meri nind udayi

par tumse naraz nahi hun main

shukriya kahun ke tumne haqiqat ki raah dikhlayi

patjhad ke bhi apne khubsurat rang hote hai,

wo bhi hame zindagi ke tajorbe se bhigote hai

phir barsaat hogi ,apne saath sab gum le jayegi

chalti chalungi main, haste huye , kadam badhaye

ek mod par zindagi tere

phir hariyali chayegi…

tu khud mere liye hamnashi

phoolon ki bahare le aayegi………..

subhah

har subhah nayan patal khulte hai

sanson ki sargam ghulti hai fizayon mein

khushi hai mehsus kar sakti hun khudko

jeevan behta hai ab bhi mujhe mein

shukrana hai rabba tera

na chate huye kitni hi dhadkane ruk gayi

bite saal ke samander mein

jeevan ki dhara ko behna hai

tho kyun na sab kuch bhul kar

nayi umeed, nayi mithas sang liye chale

hum apne es pal ko sawarte chale………….

( bas mehsus hua aaj , aise hi, ke main zinda hun, sirf saans chal rahi hai, varna tho pehle lockdown se ab talak bas ghar aur hospital ke chakker mein khud ko bhul hi gaye hai…. ghar tho bas hotel jaisa ban gaya hai, aaye , khaya, taiyar huye aur phir bhage hospital, chutti ek bhi nahi, leni ho to bhi milti nahi…. en do saaalon mein bas kisi ke liye adar aur badh gaya hai tho wo bhartiya sena ke liye, hum bich mein ghar tho aa skate hai, wo nahi…..

Dil ki silwaton mein……..

Dil ki silwaton mein chupe huye

rageen ehsaas tum sang bitaye huye

soye huye wo makhmali khwab

rakhe hai ek umeed par jagaye huye

lamhon ki chasni se bhara gulkand

nayanon mein mile sajaye huye

dhadakta hai dil, khwahishon ki sidhiyon se

phir ek pal jee le wo lamha, bas

bita jo tum sang muskaye huye…………

tera zikr

zindagi ke har mod par

zikr hua karta tumhara

sun liya tum khush ho raah-e-safar mein

yakeen mano

wo muskan-e-mohobbat laut aayi

mere labon par,

sukoon mila es dil ko

ke wo azaad hai ab

tere fikr-o-khayal se…………..

Doob jaun tere khawbon mein

tum paas ho mere

phir bhi ek kashish hai dil mein

jaan lun tumhare mann ke raaz

jo tum khamoshi se bayan karte ho

kya wahi sach hai

ya uss dil darwaze ke piche chupi duniya

kuch alag hai zindagi ki haqiqat se

jab tum maasum si gehri neend mein khoye hote ho

aksar ye khayal aata hai,

doob jaun teri khwab samandar mein dilnashi

aur khud hi chun lun wo bikhare moti

jo tumne sirf mere liye sanjoye rakhe hai…………

Kuch sulagte palon

Kuch sulagte palon ki roushni dil mein

Yaadon ke Saayon ko jagmagaye rakhti hai

Purani galiyaron ke khulte hai raaste tab

Apne wajood ka ehsaas karate aur tadpate

Phir wo khwahish hoti hai milun tumse dobara

Phir khamoshiyan bikhara deti hai haqiqat aaj ki

kuch ehsaas

kuch ehsaas, gulab ke phoolon jaise

jab khilte hai

teri khushbu aati hai////////

=================================

kuch kehne ke liye alfaz mere

labon ki dehliz par ruke huye

intazaar hai , , kabhi tho dil tera samjhe

khamosh ishq mera……….

==================================

kuch baat hai, har rang mein

sabse alag alag yaadien judi huyi

kis rang mein rang jaana ab

dil kashmakash mein rahe…..

====================================…

Baat nikli hai tho

Baat nikli hai tho
tumhara jikra hua
kaise ho ab tum
ye sawal hua

yaadon ki hawayein behti
tum sang gujre lamhon ki ginati
dil jee liya phir pal bhar
wahi saath aur wo masti

umeedon ke mitti se
hauslon ka makaan banana
sitaron ko chune ki
khwahishon ka hona

waadiyon mein gujarta mera mann
hariyali par chalte mere kadam
tere dil mein behti sargam
kshitij par khile rangon ko
chune ki koshish karna

hamare khwabon ka khusurat sach
aur dono ka alag raah chun lena
afsoos kuch bhi nahi
accha lagta hai un lamhon
ke guldaston ko sambhalana

jab koi jikra karta hai tumara
aise hi hota hai ab tumse milna…….

kuch tho kashish

kuch tho kashish hai teri baaton mein
mera dil tumse hi judta jaa raha har pal
bas ek bar chukar mehsus karun tumko
din gujarte hai, inhi khwabon mein…..

============================================

Hosh mein aane se accha hai

madhosh rahun ishq ki mehfil mein

door se sahi deedar-e-aftab  ho

teri roushani mein hum  jagmaga uthe…

============================================

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

« Older entries